Aankhen - ek payari si Ghazals

Bey-zubaan dilki zubaan bolti hain aankhen
Najaane kaise kaise raaz bhi kholti hai aankhen

Jab izhaar-e ulfat hota hai aur iqra-re mohabat hota hai
Khaamosh rehte hain hont mager, boht bolti hain ye aankhen

Qudrat ke in nazaron mein, ishq ke tilsmi khumaron mein
Mehu-ey-khayal-e-yaar, pal pal kissi ko dhundhti hain aankhen

Ik mussawer ke shaahkar mein, ik mukamil peykare bahar mein
Bus jaata hai jab dil fankar ka, to tasveer ki bolti hain aankhen

Shikwa shikayat mera shewa nahin Fehmi, saber itna jaan lewa nahin
Dil jab boht sougwar hota hai, purnum purnum moti bolti hai aankhen

No comments: