Shayari SMS | Text Messages

Bhulna hamari aadat nahi, Yaadashat chali jaye to aur baat hai,
Aap ki yaad aati hai har sans ke sath, Sans toot jaye to aur baat hai.

---------------------------------------------------

Vo likhte hain humara naam mitti mein,
Aur mita dete hain,
Unke liye ye khel hoga,
Magar Hume to vo mitti mein mila dete hain…

---------------------------------------------------

Kisi ke dil mein basna bura to nahi,
Kisi ko dil mein basana khata to nahi
Hain ye zamane ki nazar me bura to kiay hua,
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi

---------------------------------------------------

Har cheez tumhari lauta di
Hum le ke nahi kuch sath chale

Phir dosh na dena ay logo
Hum dekh lo khali hath chale

Ye raah akele kaati hai
Yahan sath na koi yaar chale

Us paar najaney kya payein
Iss paar to sab kuch haar chale

---------------------------------------------------

Khuda kisi ko kisi pey fidaa na kare,
Kare to qayamat tak judaa na kare.

Ye maana ki koi marta nahi judaai mein,
Lekin jee bhi to nahi paata tanhaai mein!

---------------------------------------------------

Bhatakte rahe hai badal ki tarah,
seene se lagalo aanchal ki tarah,
gham ke raste pe na chodna akele,
warna tut jaynge payal ki tarah

---------------------------------------------------

Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya

Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham
Manzile ishq mein har mukaam pe rona aaya

---------------------------------------------------

Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,
tu sitam kar le teri hasrat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.

---------------------------------------------------

Who inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye

---------------------------------------------------

Aap ka ashiana dil me basa rakha hai,
Aap ki yado ko seene se laga rakha hai,
pata nahi yaad aate hai Aap hi kyo?
vaise dost to humne auro ko bhi bana rakha hai.

---------------------------------------------------

Sukhe patte se pyar kar lenge,
hum tuj par aitbaar kar lenge,
tum yeh to kaho hum tumhare hai,
hum zindagi bhar intezaar kar lenge

---------------------------------------------------

Ankhon se dur ho par dil se nahi,
Dil me zarur ho par milte nahi,

bus yehi gila hai tumse dost,
tum milte zarur ho par dil se nahi..

---------------------------------------------------

Hum woh nahi jo tum ko ghum main chhod de,
hum woh nahi joh tumse nata tod de,
hum woh hain ki agar teri saanse
ruk jae to tuj se apni sanse jod de.

---------------------------------------------------

Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.

---------------------------------------------------

Hichkion ka aana ye batata hy,
Koi humain yaad kar k khud ko rulata hay,

Dil nahi samajhta magar ye tu such hay,
Shiddat se yaad hamain bhi koi aata hai.

---------------------------------------------------

Dil me kuch nahi aaj dard k siwa, Ankhon main kuch nahi aaj teri yaad k siwa
Tum chorhna mat kabhi saath mera, Zindagi main kuch nahi tere sath k siwa

---------------------------------------------------

Jise paa nahi sakte use hi pane ko ji karta hai,
Toot jate hain hum phir b umar bhar jine ko ji karta hai
Kaise keh dein apna nahi paraya hai wo, Jise har lamha pyar karne ko ji karta hai

---------------------------------------------------

Har roz HAPPY life jiya kijiye, Mujhko 2, 4 SMS bhi kiya kijiye,
Ho sakay to roz 1 kaam kiya kijye, Ziada nahi bas dua main yaad kiya kijiye..

---------------------------------------------------

Ek dil mere dil ko zakham de gaya, Zindagi bhar jine ki kasam de gaya
Lakhon phulon mein se ek phool chuna hum ne, Jo kanto se b gehri chuban de gaya

---------------------------------------------------

Tum se duri ka ehsaas jab satane laga, Tere saath guzra har lamha yaad aane laga
Jab bhi tumhe bhulane ki koshish ki dost, Tu dil ke aur bhi paas aane laga

---------------------------------------------------

Nafratain thi to woh izhaar bhi kar sakta tha, jab koi shakhs mujhe pyar bhi kar sakta tha

Hosla he na dia zabt-e-muhabbat ne kabhi, warna ae dost main iqraar bhi kar sakta tha

---------------------------------------------------

Dekho koi wada na karo bhool jao gay, Meri yaad zyada na karo bhool jao gay,
Main aaun to ker lena gilay shikway saray, Abhi se irada na karo bhool jao gay.

No comments: