Showing posts with label Sad Shayari. Show all posts
Showing posts with label Sad Shayari. Show all posts

Dur Rehne Walo Ne Aisa Sila Diya

Dur Rehne Walo Ne Aisa
Sila Diya,
Apni Yaado Se Hamko Rula
Diya,
Itna Bhi Matlabi Na Ho
pyaar Kisika,
Ki Jab Chaha Yaad Kiya Jab
Chaha
Bhula Diya

Broken Heart SMS

Dard Shayari SMS
Samjha Na Koi Dil Ki Baat Ko,
Dard Duniya Ne Bina Soche Hi De Diya,
Jo Sah Gaye Har Dard Ko Hum Chupke Se,
To Humko Hi Patthar-Dil Kah Diya…

Sad Shayari SMS

Dard Shayari SMS
Jab Pyar Ke Ehsas Ko Samajh Jaoge
Har Taraf Mera Hi Naam Paoge..
Meri Muhobbat Uss Waqt Degi Awaaz
Jab Tum Bheed Me Khud Ko Akela Paoge..!

Sad Shayari For Girlfriend in Hindi

Sad Shayari in Hindi For Girlfriend 140 Character
Sad Shayari For Girlfriend in Hindi
Kya haal kiya tune mera apne pyar mein
Zindagi hi beet gayi tere intezar mein
Tarasta raha mein teri ek jhalak ke liye
Or tu doobi rahi apne aashiq ke deedar mein

Tags:-
sad shayari in hindi for girlfriend
sad love shayari in hindi for girlfriend
sad shayari in hindi for girlfriend 140 words
birthday shayari in hindi for girlfriend
sad love shayari in english for girlfriend
happy birthday shayari for girlfriend
love shayari in hindi for girlfriend 140
hindi shayari sad life
shayari in hindi on life
sad shayari for best friend
happy birthday shayari in hindi for girlfriend
hindi sad shayari for girlfriend
sad shayari for boyfriend
love shayari in hindi for lover
sad shayari in hindi on life 140 character
heart touching sms in hindi for girlfriend 140 character
sad shayari for girlfriend
love hindi shayari for girlfriend
latest love shayari in hindi for girlfriend
sad hindi shayari for girlfriend
sad sms in hindi for girlfriend
girlfriend shayari in hindi
good morning hindi shayari for girlfriend
engagement shayari in hindi

Dard Kya Hota Hai - Sad Hindi Shayari

Dard Kya Hota Hai Batayenge Kisi Roj,
Kamaal Ki Ek Gajal Sunayenge Kisi Roj,
Udne Do Parindo Ko Aajad Fijaon Me,
Wo Humare Honge To Laut Aayenge Kisi Roj. 

Gam Se Nijaat Kya Mangu

Bichad Gaye Hai Jo Unka Sath Kya Mangu,
Jara Si Umar Hai Gam Se Nijaat Kya Mangu,
Wo Sath Hote To Hoti Jarurate Bhi,
Akeli Jaan Ke Liye Kaaynat Kya Mangu. 

Tujhse Dil Na Lagate To Achchha Hota

Waqt Rahte Sambhal Jate To Achha Hota
Ham Tere Paas Na Aate To Achha Hota
Teri To Fitrat Hai Dil Mera Jalane Ki
Tujhse Ham Dil Na Lagate To Achchha Hota ||

Tune Jo Manga Tha Mera Sath Mujhse
Jo Na Ham Hath Badhate To Achchha Hota,
Ab Ham Pachhtate Hain Tujhse Dil Ki Har Baat Bata Ke
Tujhse Har Bat Chhupate To Achchha Hota ||

Tu Samjhta Nahi Hai Aaj Mere Dil Ki Sada
Tujhse Na Najren Milate To Achchha Hota
Har Ghari Teri Hi Yadon Ka Sahara Hai Mujhe
Tujhko Na Dil Me Basate To Achchha Hota ||

Mai Wo Tara Hu Jo...

Tham Lena Hath Kabhi Pichhe Jo Chhut Jau,
Mana Lena Mujhe Jo Tumse Kabhi Ruth Jau,
Main Bewfa Hi Sahi........!
Par Mai Wo Tara Hu, Jo Teri Har Aarzu Ke Liye Tut Jau.

Mujhe Bhi Kisi Ne Chaha Tha

Koi Chahta Hai Kisi Ko Apnane Ke Liye,
Koi Chahta Hai Kisi Ko Tanhai Se Bachane Ke Liye,
Mujhe Bhi Kisi Ne Chaha Tha,
Magar Sirf Apna Dil Bahlane Ke Liye.

Wo Mujhe Gale Laga Kar Roi

Wo Mujhe Mehandi Lage Hath Dikha Kar Roi.
Mai Ab Kisi Aur Ki Hu Bas Itana Bata Kar Roi,
Umar Bhar Ki Judai Ka Khyal Aaya Tha Sayad,
Wo Mujhe Paas Apne Der Tak Bitha Kar Roi,
Kabhi Kahati Thi Mai Ji Na Paungi Tumhare Bin,
Aur Aaj Wo Ye Baat Dohara Kar Roi,
Mujhse Jyada Bichhadane Ka Gam Use Tha,
Isliye Wo Mujhe Sine Se Laga Kar Roi,
Mai Bekasur Hu Kudarat Ka Faisala Hai Ye,
Lipat Kar Mujhse Bas Wo Itana Bata Kar Roi,
Mujh Par Dukh Ka Patthar Aur Tuta,
Jab Mere Samane Mera Khat Jala Kar Roi,
Meri Adawat Aur Nafrat Pighal Gai Ek Pal Me,
Wo Bewafa Hai To Kyo Mujhe Rula Kar Roi,
Sab Sikwe Mere Ek Pal Me Badal Gaye,
Jhil Si Aankho Me Jab Aansu Saja Kar Roi,
Kash Uski Mohabbat Par Shak Na Karte Itna Hum,
TANAHA Bhari Mahafil Me ….
Wo Mujhe Gale Laga Kar Roi.
   

Jo Bichhad Jaye Wo Sathi Nahi Hota

Rone Se Kisiko Kuch Hasil Nahi Hota,
Jo Bichhad Jaye Wo Sathi Nahi Hota,
Dusro Ki To Hum Mahfile Sajate Hai,
Par Hamari Tanhai Me Koi Shamil Nahi Hota.

Haskar Dekha Rokar Bhi Dekh Liya

Haskar Dekha Rokar Bhi Dekh Liya,
Pakar Bhi Dekha Khokar Bhi Dekh Liya,
Pyaar Bhi Kiya Aur Jaan Bhi liya Ki.....
Zindagi Wahi Ji Sakta Hai Jisne Akele Jina Sikh liya.

Tere Pyar Me Ruswa - Hindi Sad Shayari


 Tere Pyar Me Ruswa Hokar Jaye Kahan Diwane Log,
Jane Kya Kya Puch Rahen Hain Ye Jane Pahchane Log,
Jaise Tumhe Hamne Chaha Tha Kaun Bhala Yun Chahega,
Mana Aur Bahut Ayenge Tum Se Pyar Jatane Log.

Dil Me Kya Hai Ye Padh Na Sakoge

Duniya Ko Haqikat Meri Pata Kuch Bhi Nahi,
Ilzam Hajaro Hai Aur Khata Kuch Bhi Nahi,
Dil Me Kya Hai Ye Padh Na Sakoge,
Sare Panne Bhare Hai Aur Likha Kuch Bhi Nahi.
  

Wo Bhul Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha

Wo Bhul Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha,
Jab Wo Ruthe The Manaya Kisne Tha,
Wo Kahte Hai Wo Bahut Achcche Hai,
Wo Bhul Gaye Unhe Ye Bataya Kisne Tha.

Jindagi Me Mohbbat


 Jindagi Mein Mohabbat Ka Khumar Kya Hota Hai.
Dil Se Dilbar Ka Milaap Kya Hota Hai,
Tum To Bewafa Ho Tumhe Kya Pata Ki
Pyar Ka Haseen Ahsaas Kya Hota Hai?

Sad Shayari On Mohabbat


 Suna Hai Pyaar Ke Kissey Ajib Hote Hain,
Khushi Ke Badle Gam Naseeb Hote Hain,
Mere Dost Mohabbat Na Karna Kabhi,
Pyaar Karnewale Bade Badnaseeb Hote Hai.
Bewfa Shayari on Mohabbat

Wo Bhul Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha

Wo Bhul Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha,
Jab Wo Ruthe The Manaya Kisne Tha,
Wo Kahte Hai Wo Bahut Achcche Hai,
Wo Bhul Gaye Unhe Ye Bataya Kisne Tha.

Kafan Sad Shayari


sad image with tears
Kisne Kaha Hum Ro Rahe The, Hum To Aansuo Se Zakhm Dho Rahe The, Hame Kya Pata Zindagi Itni Anmol Hai, Kafan Uthakar Dekha To Nafrat Karne Wale Bhi Ro Rahe The.