Tum dil ki baatein kya samjho

Tum dil ki baatein kya samjho,
Tum dil ka lagana kya jaano,

Tum aag lagana seekh gaye,
Tum aag bujhana kya jaano,

Ek baar agar tum rooth gaye,
Hum tum ko mana hi lein ge par,

Hum tum se kabhi jo rooth gaye,
Tum hum ko manana kya jaano,

Kuch saath chale kuch chhor gaye,
Waaday jo kiye woh torr gaye,

Saathi to banatay rehtay ho,
Tum saath nibhana kya jaano.

ULTIMATE TRUTH About Love

ULTIMATE TRUTH !!
.
Jab 1 Ladki 1 Ladke ke liye roti hai..
.
.
Toh iska matlab..wo usse beintehaa
pyaar karti hai..
.
.
.
Par jab 1 ladka 1 ladki ke liya rota
hai...
.
.
.
.
Toh iska matlab..Duniya mein uss
ladki ko usse
zyada pyaar koi nahi kar skta.. !!

Ishq ki in galiyon mein aakar ik sukoon sa mila

Ishq ki in galiyon mein aakar ik sukoon sa mila,

kho gya tha koi apna wo bajood mila,

jo maangi thi dua e aaj unka ye sila mila,,

k bahut hain do pal aapki bahon mein is uthti hui lehron ko koi to kinara mila,

Khushi Ke Liye Khuch Karoge to Shayed Khushi Na Mile

Khushi Ke Liye Khuch Karoge to Shayed Khushi Na Mile...........

Lekin Khush Ho kr khuch Karoge to Khushi Jarur Milegi____