Deta hai ye dard kyun bas hum hi ko,
Kya samjhenge wo in aankhon ki nami ko,
Lakhon deewane ho jis chaand ke,
Woh kya mehsoos karega ek taare ki kami ko..!!
Wo ajnabi hai, jaane kab chor de.
Hawa ka kya pata kab rukh mod le.
Hum to dusro ka dil khush rahkte
hai.
Magar Dusro ka kya pata kab dil tod
de...!!!
Mohabbat Kar Ya Nafrat
''Tu Mera Hai''
Apna Samajh Ya Paraya
''Tu Mera Hai''
Tu Murr Jaye Phir B Main Wanhi
Rahon
''Tu Mera Hai''
Pyar Hai Ya Ibadat Maloom Nahi
Mujhe
''Tu Mera Hai''
Bhulana Mushkil Hai Tujhe
''Tu Mera Hai''bus''mera Hai'..♥♥
Ek khayal sa dil me sama jata hai
wo jo ek shaks mere dil ko bahot bhata hai
uski ankho se dekhta hu main duniya sari
is liye har taraf bus wo hi nazar ata hai...