Ek tooti prem kahani


Ek tooti PREM kahani
Fark sirf itna sa hai

Uski barat gayi,
Iski mayat uthi.

Phool us par bhi the,

Phool is par bhi the.
Mehfil waha bhi thi,

Log yaha bhi the.

Wo doli pe thi,
Yeh janaze pe tha.

Unka hasna waha,
Inka rona yaha.

Saheliya uski bhi thi,
Dost iske bhi the.


Qazi udhar bhi the,

Molvi Idar bhi the.
Wo saj k gayi,

Ise sajaya gaya.

Wo uth k gayi,
Ise uthaya gaya.

Fark sirf itna sa hai,

USE APNAYA GAYA AUR ISE DAFNAYA GAYA