Mareez:-doctor aap ye phoolo ki mala kyon laaye hain?
Doctor:-ye mera pahla operation hai,agar safal hua to mere liye nahin to tuhare kaam aaegi.
Maalik:-are raamu aaj tumne roti main kitna saare ghee laga diya..
Naukar:-are saahab maaf karna shayad galti se maine apni roti aapko de di hai,
Saahukaar:-tumne apne udhaar ke paise abhi tak nahin wapas kiye…
chalo mamla beech main suljha lete hai…
tumhare udhaar ka aadha paisa main bhoolne ke liye taiyaar hoon..
Karzdaar:-manzoor:-baaki aadha main bhoolne ko taiyaar hoon.
Ek ladka ek ladki ke saath baitha tha,
doosre din doosri ladki ke saath baitha tha,
teesre din teesri ladki ke saath baitha tha…
is kahani se shiksha milti hai:-ladkiyan badal jaati hain,ladke nahin.
Ek aadmi librarian se:-mujhe aatmhatya karni hai.kya aap mujhe aatmhatya per koi achchi book de sakte hain.
Librarian:-nahin bilkul nahin,mujhe pata hai aap mujhe wo wapas nahin denge.
Teacher:-bachcho kabhi sharab mat peena,jhooth mat bolna,kabhi nonveg mat khana,kabhi ladki ko mat chhedna.aur apne desh ke liye jaan de dena.
Ek bachcha:-de denge sir,sala aisi zindagi se to marna achcha hai.
Ek jagah sangeet ki mahfil chal rahi thi.ek gayak ne jaise hi gana gaya ,
sab bole , “once more”.gayak ne gana phir suna diya. Sab log phir se bole ,
“once more”.gayak nephir se ganae suna diya.abki baar phir sab bole ,
“once more”.gayak ne kaha,”mere pyare sunne walo,
main aapka mere liye pyaar samajhta hu,
per meri bhi kuch maryada hai,main itni baar nahin ga sakta.”
Tabhi mahfil main se ek aadmi bola,”jab tak tum thik se nahin gaaoge,
tumko gana padega.”
No comments:
Post a Comment